jab dard ke nate tut gae jab manzar manzar phaile hue an-dekhe lambe hathon ne sab ahd purane lut liye mazi ke khazane lut liye sab ishq ke dawe ruth gae jaan gung hui dil chhut gae har zakhm-e-tamanna rakh hua jo shoala-e-jaan tharraata hua shaffaf andheri raaton mein raqsan tha falak ke zine par thak-haar ke aakhir baith raha matiyale behis retile in raston par wo raste jin par rishton ke raushan chehre ru-posh hue wo jin ke shor-sharabe mein man ki aawaz dub gain dil ke hangame sard hue aaine nazar ke gard hue wo raste bhi kya raste the har chaar-taraf ek dhund ki khaki chadar thi aur us ke aage hadd-e-nazar tak phaili hui be-jaan lafzon be-mehr yugon ki daldal thi wo shola-e-raqsan hairan tha wo dida-e-hairan giryan tha wo zehn-e-pareshan larzan tha ek dil ka nagar so viran tha ek rahi tha jo un be-mehr fazaon mein shauq-e-parwaz se khu-e-safar ki betabi se hirasan tha kuchh chand ki maddham kirnen thin jo dard ke sare raazon se waqif thin magar in matiyale behis gadle raston se wo bhi gurezan thin