ek tazabzub ki sarae saaton ke mel se bojhal magar raushan chhaten diwar-o-dar aur rah-dari mein ubharti ajnabi qadmon ki halki tez chap aur khamoshi ka lams jaise saiba phir sahn mein aa kar utarte qafilon ki faslon se chor aawazen safar mein yun achanak aane wale is padaw ki lipatti mezban thandak se sehar-agin tarawat pa rahi hain sidhiyon se dur dalanon ke goshe mein khada ek aks apne ham-nashinon ham-rakabon ka amir un ka muhibbi phir bhi is tashkik ki billor saat mein har ek se bad-guman is soch mein ghaltan ki jaise is safar ho raegan