ai chacha kharru shichof ai mamun candy assalam ek hi khat hai ye mamun aur chacha donon ke nam aap donon ka adab karna hamara farz hai phir bhi sun lije jo chhoti si hamari arz hai aap donon hain bahadur surma kya is mein shak ek baadal ki garaj hai ek shoale ki lapak aap donon ke bayan sun sun ke dar jate hain hum dham se aa girte hain hum bachchon pe ye lafzon ke bam dar ke chhup jate hain apni maon ke aaghosh mein kash hum behosh ho kar phir na aaen hosh mein aap donon lad pade to jaane kya ho jaega do minute mein is jahan ka khatma ho jaega aag lag jaegi is duniya ko mar jaenge sab jo bayan dete hain wo khamosh ho jaenge lab do minute zinda rahenge hum bhi marne ke liye kaun phir baqi rahega raj karne ke liye aisa lagta hai ki kuchh din aur jina hai muhaal gar nahin apna to bachchon hi ka kuchh kije khayal ek taraf nafrat khadi hai dusri jaanib ghurur qahr ki chakki mein pis jaen na bachche be-qusur le chuke hain aap to ji bhar ke duniya ke maze hum ko in se dur rakhna chahte hain kis liye gar ijazat ho to hum bachche bhi duniya dekh len chaar din hum bhi ye bhaalu ka tamasha dekh len kuchh bhi to school aur ghar ke siwa dekha nahin aap kahiye aap ne duniya mein kya dekha nahin jang mat kije na duniya ki imarat dhaiye sochiye kuchh ghaur kije dekhiye baz aaiye aap ne duniya sajai thi mitane ke liye aql ki shamen jalai thin bujhane ke liye ilm-o-hikmat science ne ki thi taraqqi ke liye aql ki shamen jalai thin bujhane ke liye ilm-o-hikmat science ne ki thi taraqqi kis liye nist-o-nabud aaj hum kar den use kya is liye hum ne mana aap ka aapas mein hai kuchh ikhtilaf ek jagah hum baith kar kar len na kyun dil apne saf apni is duniya ki haalat is qadar jab zar hai is ko dekhen chand mein jaana abhi be-kar hai dur kije dil se nafrat aur gale mil lijiye zindagi ki justuju mein khud-kushi mat kijiye jang karni hai to kije ho magar aisi wo jang aasman bhi jang aisi dekh kar ho jae dang jang ke bare mein hum bachchon ki ek tajwiz hai taki sab khush ho ke bolen jang achchhi chiz hai aap ko masum bachchon ka hai gar kuchh bhi khayal baithe baithe ek dam ho jaiye ghusse se lal khoe ki topen liye maidan mein aa jaiye in se ras-gullon ke gole har taraf barsaiye mithe gole aap ki topon ke hum khate rahen hont ye qaumi tarane dam-ba-dam gate rahen hon har ek banduq mein rabdi ke rangin kartoos aur har ek tank ki tanki mein mausammi ka juice aap ke dushman ki faujon ko ho jab ghusse ki pyas pesh kije muskura kar un ko sharbat ka gilas dudh ke sagar mein hon kuze ki misri ke jahaz jis mein hon jasus sine mein liye toffee ke raaz bam phaten to un se niklen jhat khilaune be-shumar tha ho aur lag jae guddon aur gudiyon ki qatar gar koi bimar ho chilla raha ho pen se choklet pahunchaiye jhat us ko airplane se koi na-maqul aa kar galiyan bhi de agar us se kahiye bhag ja hat tere munh mein ghi shakar tir ulfat ke chalen goli chale ehsan ki khatm kar dije raunat is tarah insan ki chappe chappe par jahan mein aise atom-bomb phaten is jahaalat ke andhere mein ujala jo karen rockiton mein ho madad lakhon gharibon ke liye aur agan buton mein khushiyan bad-nasibon ke liye bhuke bachchon par falak se rotiyan barsaiye moze jute kuchh qamizen nekaren phikwaiye jang ki barud mein zaea na kije mal-o-zar muskura kar daliye lakhon gharibon par nazar jo gharibi ki thakan se ho rahe hain chur-chur un ki jeben faltu noton se bhar dije huzur pyar ka ulfat ka har zakhmi ko marham dijiye apni khushiyan de ke dukh walon ke dukh le lijiye jo bhalai mein maza hai wo burai mein nahin bandagi mein jo maza hai wo khudai mein nahin ye jahan pyara jahan kyun jang mein barbaad ho is zamin par kyon na jannat pyar ki aabaad ho jod kar hum hath nanhe khat ko karte hain tamam aap ke bachchon ko sab duniya ke bachchon ko salam