tujhe kuchh us ki khabar bhi hai ai nigar-e-watan tere liye koi sina-figar hai ab bhi utha chuka hun fareb-e-wafa ke dagh magar shikasta dil ko tera e'tibar hai ab bhi hazaron kahkashan ne bichhae jal magar meri nazar mein teri rahguzar hai ab bhi wo ek qatra jo tapka tha tere daman par wo ek naqsh mera shahkar hai ab bhi wo ek lamha tere gham mein jo guzara tha sukun-e-khatir-e-be-ikhtiyar hai ab bhi wo kisht-e-dil ki jise aansuon ne sincha tha harif-e-chashmak-o-barq-o-sharar hai ab bhi khizan ne yun to kai sabz-bagh dikhlae bahaar muntazir-e-nau-bahaar hai ab bhi rawish rawish pe hain charche khizan-nasibi ke kali kali ki nazar sogwar hai ab bhi lahu tapakta hai gulchin ki aastinon se qaba-e-lala-o-gul daghdar hai ab bhi bahut qarib hain ab bhi qafas ki diwaren bahut buland sar-e-shakh-sar hai ab bhi