shahid-e-bazm-e-sukhan nazura-e-mani-taraaz ai khuda-e-rekhta paighambar-e-soz-o-gudaz yusuf-e-mulk-e-maani pir-e-kanan-e-sukhan hai teri har bait ahl-e-dard ko bait-ul-huzan ai shahid-e-jalwa-e-mani faqir-e-be-niyaz is tarah kis ne kahi hai dastan-e-soz-o-saz hai adab urdu ka nazan jis pe wo hai teri zat sar-zamin-e-sher par ai chashma-e-ab-e-hayat tafta-dil aashufta-sar aatish-nawa be-kheshtan aah teri sina-soz aur nala tera dil-shikan khatm tujh par ho gaya lutf-e-bayan-e-ashiqi marhaba ai waqif-e-raaz-e-nihan-e-ashiqi sar-zamin-e-sher kaba aur tu is ka khalil shakh-e-tuba-e-sukhan par hamnawa-e-jibrail josh-e-istighna tera tere liye wajh-e-nashat shan-e-khuddari teri aaina-dar-e-ehtiyat bazm se guzra kamal-e-faqr dikhlata hua taj-e-shahi pa-e-istighna se thukraata hua tha dimagh-o-dil mein sahba-e-qanat ka surur thi jawab-e-satwat-e-shahi teri tab-e-ghayur mauja-e-bahr-e-qanat teri abru ki shikan takht-e-shahi par hasir-e-faqr tera khanda-zan tha ye jauhar teri fitri shairi ke rutba-dan izzat-e-fan thi teri nazuk-mizaji mein nihan multafit karta tujhe kya aghniya ka karr-o-farr tha teri rag rag mein durweshon ki sohbat ka asar dil tera zakhmon se bazm-e-ashiqi mein chur hai jis sukhan ko dekhiye rista hua nasur hai bazm-gah-e-husn mein ek partaw-e-faiz-e-jamal said-gah-e-ishq mein hai ek said-e-khasta-haal dekhna ho gar tujhe dekhe tere afkar mein hai teri taswir tere khun-chakan ashaar mein sair ke qabil hai dil sad-para us nakhchir ka jis ke har tukde mein ho paiwast paikan tir ka aasman-e-sher par chamke hain sayyare bahut apni apni raushni dikhla gae tare bahut ahd-e-gul hai aur wahi rangini-e-gulzar hai khak-e-hind ab tak agar dekho tajalli-zar hai aur bhi hain marke mein shahsawar-e-yakka-taz aur bhi hain mai-kade mein saqiyan-e-dil-nawaz hain to paimane wahi lekin wo mai milti nahin naghma-sanjon mein kisi se teri lai milti nahin sahiban-e-zauq ke sinon mein thi jis ki khatak tairte hain dil mein wo sar-tez nashtar aaj tak karwan-e-rafta ko tha teri yaktai pe naz asr-e-maujuda ne bhi mana hai tera imtiyaz ho gae hain aaj tujh ko ek sau bais sal to nahin zinda hai duniya mein magar tera kamal haq hai hum par yaad kar ke tujh ko rona chahiye matam apni na-shanasi ka bhi hona chahiye dhundte hain qabr ka bhi ab nishan milta nahin ai zamin tujh mein hamara aasman milta nahin