har sar mein imtihan ka sauda hai aaj-kal har dil mein fail hone ka dhadka hai aaj-kal parchon ke out hone ka charcha hai aaj-kal koi nahin kisi ki bhi sunta hai aaj-kal munni ki aankh nam hai to munna ke dil mein gham bechainiyon mein koi kisi se nahin hai kam dimak ki tarah chat raha hai koi kitab koi ye sochta hai ki ab aaega itab padhta hai raat bhar koi jughrafiya ka bab pencil se sokhta pe hai likhta koi jawab har zi-shuur khel ke maidan se dur hai padhne se koi aur koi likhne se chur hai anjum ki aankh nam hai to firdaus hain udas 'mohsin' ye sochte hain ki honge ye kaise pas azra ki ye dua hai ki aa jae ratna ras har zehn mein hai khauf to har dil mein hai hiras koi nazar mein maut ka naqsha liye hue baitha hai koi hath mein basta liye hue khane ki fikr hai na hai footbaal ka khayal chehre pe har nafas ke hai tahrir dil ka haal is bar fail gar hue jina hua muhaal abbu ke mar-pit se utregi meri khaal yaron ko kis tarah se munh apna dikhaenge aur kis tarah se manzil-e-ummid paenge baqi kuchh aise log bhi hain is jahan mein jo farq aane dete nahin apni aan mein sine phula phula ke nikalte hain shan mein jaise ki koi khatra na ho imtihan mein ye log zinda-dil hain bahadur hain sher hain jo fail ho ke hote hain khush wo diler hain padhne ka gham hai in ko na hai in ko fikr-e-dosh har waqt khelte hain padhai ka kis ko hosh aapas mein lad bhi lete hain jab aae in ko josh hanste hain imtihan ke din ye kutub-farosh in ke liye zamane mein koi bhi gham nahin chikne ghade hain ye inhen koi alam nahin