wo salmiyyat thi ek wahdat wo kaamiliyyat kisi tarah ek ghair-mazbut saniye mein bikhar gai to alag hua us ka ek hissa! wo ek unsur ka ek hissa jhatak ke daman khala ke gahre amiq la-waqt faslon ko ubur karta hazaron sadiyon ki duriyon par chala gaya hai! koi nahin jaanta ke kaise wo na-mukammal shikasta unsur adhure-pan ki aziyyaton se guzar raha hai magar wo itna to jaanta hai ki jaan se bhi aziz-tar wo adhura unsur atut bandhan ki ek dori se be-lachak sa bandha hua hai! hawa ki dori ka ek sira us ke hath mein hai to dusra us ke hath mein hai agar ye ranjur ho gaya to hawa ke taron pe dukh ki lahren wahan pahunch kar use bhi dukh mein lapet lengi!!