aaj ke din to yun lagta hai jaise lamha lamha teri aankhon se jhilmil jhilmil jhankta ho tapak tapak ke qatra qatra tere mere khwab ki dhun bunta ho aaj ke din to har ek lamha rag rag dipak aag lagata dhalta ghatta jata hai bahte bahte samay ka dhaara bahta jata hai ek bhanwar hai ek thahraw jin ke beach mein aaj ke din ka har ek lamha bit raha hai jaise jati umren dhalti shamon mein aaj ka din aur aaj ke din ka har ek lamha jaise purwa jaise barkha jaise khushbu khwab khayal jaise sawan sanjh sawera jaise megh malhaar aaj ka din aur aaj ke din ka har ek lamha jaise tal dhamal