aaj ki aurat

mujhe dekho
mujhe socho

mujhe samjho
meri bebak nazron ki tahon mein koi majburi nahin hai

mera idrak hai jo mujh ko mere
khair pe hone ki masnad par bithata hai

mujhe ye ilm hai ki main
ujalon ki tarah se phail jati hun

haqiqat roz-e-raushan hai
jahan har ek chamakti ret pani ban nahin sakti

haqiqat apni fitrat mein kahani ban nahin sakti
meri bebak-nazari ka ghalat matlab na le lena

mujhe bahrup bharne ki ada aati nahin hai
mujhe ghut ghut ke jine ki ada aati nahin hai

mera idrak hai jo mujh ko mere khair par hone ki masnad par bithata hai
main aisi hun dikhana chahti hun

main kaisi hun batana chahti hun
mujhe dekho

mujhe socho
mujhe samjho

main aurat hun
haqiqat hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close