aaj ki baat nai baat nahin hai aisi jab kabhi dil se koi guzra hai yaad aai hai sirf dil hi ne nahin god mein khamoshi ki pyar ki baat to har lamhe ne dohrai hai chupke chupke hi chatakne do ishaaron ke gulab dhime dhime hi sulagne do taqazon ke alaw! rafta rafta hi chhalakne do adaon ki sharab dhire dhire hi nigahon ke khazane bikhrao baat achchhi ho to sab yaad kiya karte hain kaam suljha ho to rah rah ke khayal aata hai dard mitha ho to ruk ruk ke kasak hoti hai yaad gahri ho to tham tham ke qarar aata hai dil guzargah hai aahista-khirami ke liye tez-gami ko jo apnao to kho jaoge ek zara der hi palkon ko jhapak lene do is qadar ghaur se dekhoge to so jaoge