wo waqt meri jaan bahut dur nahin hai jab dard se ruk jaengi sab zist ki rahen aur had se guzar jaega andoh-e-nihani thak jaengi tarsi hui nakaam nigahen chhin jaenge mujh se mere aansu meri aahen chhin jaegi mujh se meri be-kar jawani shayad meri ulfat ko bahut yaad karogi apne dil-e-masum ko nashad karogi aaogi meri gor pe tum ashk bahane nau-khez bahaaron ke hasin phul chadhane shayad meri turbat ko bhi thukra ke chalogi shayad meri be-sud wafaon pe hansogi is waz-e-karam ka bhi tumhein pas na hoga lekin dil-e-nakaam ko ehsas na hoga al-qissa maal-e-gham-e-ulfat pe hanso tum ya ashk bahati raho fariyaad karo tum mazi pe nadamat ho tumhein ya ki masarrat khamosh pada soega wamanda-e-ulfat