dekhna jalwa-e-jaanan ka asar aaj ki raat phul hi phul hain ta-hadd-e-nazar aaj ki raat raegan ja na saka aankh se us ka bahna rang laya hai mera khun-e-jigar aaj ki raat daman-e-shauq ko thame hue hain sharm-o-haya dil dhadakta hai ba-andaz-e-digar aaj ki raat husn-o-taqdis ki dilchasp hikayat padh kar dhun raha hai dil-e-hairat-zada sar aaj ki raat chand ek matla-e-anwar-e-darakhshan hi sahi ek taswir hai hairat ki magar aaj ki raat jalwa-e-husn ke ikhraj ka aalam dekho meri nazron mein hain raqsan se sharar aaj ki raat jazba-e-sharm ne chhidkaw kiya shabnam ka rukh-e-gulnar hai ek shoala-e-tar aaj ki raat mai-e-ulfat ka chhalakta hua paimana hai us ki sharmili si tirchhi si nazar aaj ki raat ye dua-e-dil-e-masum uluhi ho qubul ta-qayamat rahe mahrum sahar aaj ki raat