agar mujh se milna hai aao milo tum magar yaad rakhna main iqrar ki manzilen raste hi mein chhod aaya hun ab mujh se milna hai tum ko to inkar ki sarhadon pe milo jhinguron makdiyon ke janaze main raste pe chhod aaya hun purani kathaen mujhe khinchti hain zamin ka zawal aaj zanjir-e-pa ban raha hai khas-o-khak ke sare rishte main ne har shai ko ab taj diya hai koi mazarat bhi nahin hai ki main mazarat ke sabhi jhute lafzon ko apni lughat se nikal aaya hun main inkar ke aasmanon pe phirta hua main inkar ka wird karta hua main zaminon pe aur aasmanon ki har shai pe inkar ki surkh mohren lagata hua aur dama-dam ki ek thap pe main ne saton zaminon ke saton tabaq aaj raushan kiye hain dekhna aasman raqs karne laga hai zaminon ke sare khazane ubalne lage hain sare dafine jadon se ukhad kar mere samne hath bandhe khade hain meri aawaz par machhliyan paniyon se nikal aai hain aaj arz-o-samawat ki sari poshida khabren main sunne laga hun main khush hun mujhe aagahi mil gai hai badan ke masamon se ab aagahi shoala ban kar chamakne lagi hai ajab kashf ki raushni hai zamin apni sath se patal tak raushni mein naha kar shab-e-awwalin ki dulhan ki tarah aaj sharma rahi hai taza hawaon ki doshizgi sat rangon mein barahna hui hai hayaon ki surkhi se chehra kanwal hai ki meri dulhan ka badan phul hai wo hawaon ke rangon mein dubi hui hai hawaon ki doshizgi sat rangon mein barahna hui hai har ek shai naqab apna ulte hue hai sabhi bhed apni zabanen nikale mere samne aa gae hain kitabon ke auraq khud bolte hain zamin aasman ki har ek shai samundar hawaen zaminon ki sathen sathon ke niche sadiyon ke chehre pahadon ki barfen barfon ke shorida pani sadiyon ke pyase samundar ke sahil darakhton ke patte phulon ke chehre aur roz-o-shab ke safed-o-siyah silsile har ek shai mujhe apne bhedon se asrar se aashna kar rahi hai ajab aashnai ki lazzat mili hai main is aashnai ki lazzat se sarshaar ho kar muqaddas zamin ke purane dukhon ko gale se laga kar main iqrar ki manzilen raste hi mein chhod aaya hun main sari purani kathaen jala kar faqat ek dama-dam ki aawaz par raqs karta hua main iqrar ki sarhadon se pare aa gaya hun ab mujh se milna hai tum ko to aao milo magar yaad rakhna main iqrar ki dushmani par utar aaya hun ab main inkar ki sarhadon pe milunga