aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si jaane kis dahr se aaya hai ye tufan-e-bala ye jo tufan ki is mein hain khandar khwabon ke tutte khwab hain dhundli si guzargahon ke an-kahi koi kahani koi jalta aansu aa ke daman pe thaharta hua be-kal shikwa chup si sadhi hai mere but ne magar aankhon mein mere har taj-mahal ki hai haqiqat wazeh jis mein rahti hai wo shahzadi jise qudarat ne dil dhadakta hua bakhsha hai badan patthar ka main ne dekha hai ki wo raat ke andhiyaron mein apne tute hue par khud hi jila deti hai apne ashkon ke diye khud hi bujha deti hai khud hi apne liye likhti hai sazaon ki kitab apne hathon se chhupa deti hai zakhmon ke gulab aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si aaj larzish si hai pairon mein thakan sanson mein kirchiyan chubhne lagi hain jo meri aankhon mein aaj lazim hai ki chup-chap guzar jae sham koi aahat ho na dastak na hi chhilke koi jam aaj aaine se katra ke guzar jaana hai aaj shab ghor-andhere mein utar jaana hai phir naya din nai muskan jaga laega shab ka tufan kinaron se utar jaega aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si