mohabbat daimi sukh hai ki jis ko maut ki ghadiyan kabhi kam kar nahin saktin ye mausam ek dafa aae to phir aa kar thahar jae hasin shadab si kaliyan nigahon mein sama jaen to phir ye mar nahin saktin khayalon ki rawani mein ki jaise bahte pani mein kanwal khil jaen khwabon ke to qudarat muskuraati hai ishaara kar ke taron se chhalakte aabshaaron se madhur sargoshiyan kar ke hamein rasta dikhati hai ye rasta kis qadar hairan-kun manzil dikhata hai isi raste pe insan khud ko pahli bar pata hai mohabbat ko saza kahne se pahle soch kar rakhna ki jo is se bichhad jae use manzil nahin milti bikhar jaen jo ban kar khak phir mahfil nahin milti mohabbat daimi sukh hai ye sukh main chahti hun teri aankhon mein nazar aae ki tu is kaenat-e-khwab ka hamraaz ban jae mohabbat daimi sukh hai