aankhen andhe kuen ki manind dur andhere raston par pani ko khurach rahen hain gahri dhund ki chadar odhe kaun abhagan phut phut ke ro bhi na pai sabr ki roti chup ka salan sab zaiqon se kadwa zahr gale ke andar kund chhuri ki manind atke kya bole sare lafz apne lahu ki gardish se be-parwah lab par utren muafi ke chhilkon ko utarungi ruhen kuchh na kahengi dena sab kuchh is ko wapas kuchh bhi na lena hath tumhaare sada hi bhar rahenge jazbon ke phulon se mat kuchh kahna warna sara malba tumhaare upar aan girega kachchi diwaron ke nate taswiron ke rangon se bhi kachche hathon war zabanon par guzri baaton ke sare sukh ek ek kar ke mitte jate hain man ki sari shakti bich samundar dub gai hai hawa mein aansu gas ke gole chhuten to sab rona ek hi waqt mein rolen tyag ka lamba rasta ba nahin phailae apni or bulata hai aage jao sab kuchh suno aao is aawaz ke raste par chalte jaen diwar dur se dur