waqt ki zanjiron mein jakde hum tum barson baad mile hain lekin aisa lagta hai mujh ko jaise pahli bar mile hain pichhle pahar ki dhup wahi thi sham ka aanchal dhalak raha tha lambi hoti jati thi san san san san bahti hawaen dip jalane aati thin raushan taron ki baraaten chand ko gher ke lati thin aaj bhi din ki dhup dhali hai waqt ki pael chhanak uthi hai chhan-chhan aawazon ko sun kar unghte sae jag uthe hain waqt ki zanjiron se kat kar tut gae to jud na sakenge aawazon ka kaun bharosa khwabon ko tabiren de do naghmon ki jhankaren sun kar jag uthe to hosh mein aao hum tum pahli bar mile hain mere naghme waqt ki lai par tum na suno to kaun sunega hum tum barson baad mile hain hum tum kitni bar mile hain jaise pahli bar mile hain