har ek raat ke aakhiri aur pahle padaw mein teri sunai hui har kahani padi hai kahani se sansen bandhi hain kahani mein jangal samundar pahad aur sahra bhare hain kisi dusri aankh mein tere lafzon ke bojhal bahaw ke dhundle kinare jade hain yahi dhund ek raat ko dusri raat se aur raaton ko aankhon se aankhon ko sanson se sansen kahani se jode hue thi kahani mein kitne alaw jale aur tujhe kitni raushan jabinon ka naqsha banana pada ab kahan yaad tujh ko tere samne se bhala kitne manzar sarakte gae aur kitne ruke ye tujhe kab khabar thi tujhe to kahani banani thi jis mein bahadur nidar shah-zade safar se sarfaraaz lauten to un mein se har ek ko shah-zadi mile saltanat aur hire jawahar milen magar tu ye bhuli hui thi kahani ka hissa to thi par kahani ki rani nahin thi kahin shahr-zad is jahan mein kisi ne kahani teri yun sunani nahin thi