aaj phir dard utha dil ke nihan khane mein aaj phir log satane ko chale aaenge aaj phir karb ke shoalon ko hawa dunga main aur kuchh log bujhane ko chale aaenge aag se aag bujhi hai na bujhegi lekin dard ko aag ke dariya mein utarna hoga aag aur dard ke mear parakhne ke liye in andheron ki fasilon se guzarna hoga main andheron ki rifaqat se nahin hun bezar sham-e-tanhai andhera bhi bhala lagta hai haif sad haif ki munkir tha zamana jis ka aaj wo jurm makanon mein hua lagta hai lakh kamre ko tatola bhi magar kuchh na mila farsh par khun ki do-chaar lakiron ke siwa jang aur zulm ke asrar nihan ai zindan jaan paega bhala kaun asiron ke siwa dard dil hai ki bhatakti hui ruhon ka jalal qatl ho kar bhi dhadakta hai jo viranon mein main sulagta hi raha aur wo andaz-e-junun chhup gaya aag laga kar mere armanon mein