tujhe khud se alag kaise karun mein tujhe jab khinchta hun khud se bahar khincha aata hun main bhi sath tere ajab sa jism mera ho gaya hai hai jis mein panw mere hath tere zaban apni agar khamosh kar dun teri baaten ishaare bolte hain jigar jaan dil nazar jis ko bhi dekho tera hi nam sare bolte hain hui hai jazb mujh mein is qadar tu main hun akhbar to meri khabar tu ab apne safhon mein tujh ko padhun main tujhe khud se alag kaise karun main ragon mein ab meri tera lahu hai meri surat bhi tujh si hu-ba-hu hai bahut arse se khud mein main hun ghaeb sarapa jism mein ab tu hi tu hai makan hun main tu baam-o-dar hai mera tu khadd-o-khal hai paikar hai mera ye tere ishq ka har su asar hai jamal-o-rang sab behtar hai mera wajud aksar main apna bhulta hun bharam mein tere khud ko chumta hun teri wahshat mein hi panw sukun main tujhe khud se alag kaise karun main hai meri raat mein ab nind teri hum ek duje mein yun khoe hue hain hamare khwab bhi ek dusre ke badan ko odh kar soe hue hain mere takiye mein teri khushbuen hain meri chadar pe teri silwaten hain tu rahti hai mere pahlu mein har dam mere bistar pe teri karwaten hain ho shamen roz raaten ya sahar ho koi bhi waqt ho koi pahar ho tasawwur mein tere duba rahun main tujhe khud se alag kaise karun main ye kahne ko hai meri dastan par sabhi auraq mein qisse hain tere hai na-mumkin inhen gin pae koi mere andar kai qisse hain tere badan hun main meri angdai hai tu mere ehsas ki ranai hai tu badaulat tere duniya dekhta hun nazar ka nur hai binai hai tu munawwar ho gaya bin rang roghan mera chehra tere jawon se raushan teri raunaq mein duniya ko dikhun main tujhe khud se alag kaise karun main main shair tu meri rumaniyat hai main fursat tu meri masrufiyat hai meri taqrir mein tere qaside meri tahrir mein teri sifat hai meri har baat hai tarif teri mera har lafz teri kaifiyat hai mein saman hun to tu qimat hai meri main rutba hun to meri haisiyat hai simatti hai wahan har fikr meri jahan tu bol de sab khairiyat hai duaon mein tera hi nam lun main tujhe khud se alag kaise karun main kalai mein to chaudi ka khanakna gharaz mein aaina to hai sanwarna main jaise dasht mein hun rah koi to is par ek musafir ka guzarna main jaise tal deta saz koi to raqqasa ka is lai par thirakna main hun be-nur si ek jhil aur tu hai is par mah-e-kaamil ka utarna tu chehra khubsurat main hun parda mera maqsad tujhe mahfuz rakhna teri zinat ka pahre-dar hun main tujhe khud se alag kaise karun main zaban urdu mein tu meri nafasat agar main lucknow tu hai nazakat reaya hun main is sube ka jis mein hamesha se rahi teri hukumat agar main sar hun to dastar tu hai main wo shamshir jis ki dhaar tu hai main hun poshak tu hai itr mera main hun roza to phir iftar tu hai mahina main agar ramzan ka to mubarak eid ka tyauhaar tu hai naziren aur kitni teri dun main tujhe khud se alag kaise karun main