aawara-gard lamhe yun be-qarar bhatken jaise parind pyase diwana-war bhatken be-jaan-o-be-takallum ek aarzu hai tanha jangal mein jaise koi viran si imarat basti se dur jaise khamoshiyon ka parbat tane khada ho khud ko jamid sadi ki surat ehsas apni lau par yun tamtamae jaise shoalon pe chal raha ho ek be-libas jogi kahti hai aql hum ko jalwat-pasand rogi kya sadhuon mein aisi jwala jagi na hogi aksar samette hain bikhre hue junun ko hum log aaj bhi hain kis darja na-mukammal shaitan sifat sharare odhe dhuen ke kambal doshizgi gham ko jhulsaen jab musalsal chinghadti hain sansen sinon mein be-tahasha jaise azim insan pamal ho gaya ho jaise har ek lut kar kangal ho gaya ho ek mukhtasar sa pal bhi sad sal ho gaya ho ajgar gupha mein leta shiriniyan chabae aur hum ye sukhe patte ab tak batorte hain