aakhiri bas tairti si ja rahi hai shab ki farsh-e-marmarin par shabnam-agin dhund ki nili gupha mein bas ke andar har koi baitha hai apna sar jhukae khastagi din ki chabae kya hui ek dusre se baat karne ki wo rahat wo masarrat aaj duniya aakhiri bas ki tarah mahw-e-safar hai sab musafir qurb ke ehsas se na-ashna baithe hue hain ab kisi ko ajnabi hona bura lagta nahin hai