ek tha raja ek thi rani kaun sunae ab ye kahani ab na sher ko jal mein pakde aur na chuha jal ko katre aur na jite bazi kachhwa aur na rahe khargosh bhi sota chand ki budhiya chali gai hai sut katna chhod chuki hai hatim-tai aur ali-baba sakhi sakhawat aur marjina koi sunata nahin kahani na to dada aur na nani khatm hue sab jadu tone qisse pariyon ke bhuton ke har dam tw pesh-e-nazar hai ab duniya ka haal digar hai tw mein cartoon aate hain bachchon ka dil bahlate hain