bahut din rah liya ku-e-nadamat mein hazimat ke bahut se war hum ne sah liye tera ye shahr shahr-e-jaan nahin hai tere is shahr mein ab aur kya rahna hamare khwab tere khar-o-khas mein the hamare lafz teri pesh-o-pas mein the ki hum har sans teri dastaras mein the tere ujle dinon se hum ko kya hissa milega gada ke hath mein tuta hua kasa rahega hamesha ke liye shayad yahi qissa rahega ab is dhoke mein kya rahna bahut din rah liya ku-e-nadamat mein