tu aafaq se qatra qatra girti hai sannate ke zine se is dharti ke sine mein tu tarikh ke aiwanon mein dar aati hai aur baha le jati hai jazbon aur imanon ko maile dastar-khwanon ko tu jab banjar dharti ke mathe ko bosa deti hai kitni soi aankhen karwat leti hain tu aati hai aur teri aamad ke nam se pyase bartan bhar jate hain tere hath badhe aate hain gadli ninden le jate hain teri lambi poron se dilon mein girhen khul jati hain kali raaten dhul jati hain tu aati hai pagal aawazon ka kichad sadkon par udne lagta hai tu aati hai aur uda le jati hai khamoshi ke khemon ko aur honton ki shakhon par moti dolne lagte hain panchhi bolne lagte hain tu jab band kiwadon mein aur dilon par dastak deti hai sari baaten kah jaane ko ji karta hai tere sath hi bah jaane ko ji karta hai