in dinon mere andar ghamsan ka ran pad raha hai apne khilaf apna hi difaa kar raha hun jang mein har harba jaez hota hai main ne ek bahadur ki manind ochha hathiyar istimal na karne ka faisla kiya tha lekin junhi mere gird hisar tang hone lagta hai meri zirah-baktar ke halqe tutne lagte hain aur bachao ke har raste par tiktiki dikhai deti hai to main koi na koi ochha hathiyar istimal karne par majbur ho jata hun kisi sarkash khayal ke pet mein chupke se khanjar utar deta hun kisi gustakh jazbe ko mufahamat ke bahane bula kar diwar mein chun deta hun main jaanta hun mere difaa mein shigaf pad chuke hain lekin mera irada aakhir tak date rahne ka hai phir tamam rahen masdud pa kar aakhiri harba istimal karunga apni maut ka elan is tarah karunga jaise main nahin mera dushman mara ho