aakhiri bar koh-e-nida ke us par us ke sunahri wajud ki aayat mere dil ke qirtas par tastir hoi main sat sawalon ke jawab talash karta hua is ajnabi sar-zamin par utra tha us ki sunahri naf ka pyala khutan se aai kasturi se labrez tha aur sine par lala ke do phul khile the raushni us ke chehre ke khadd-o-khal takhliq karne mein masruf thi wo siyah pairahan pahne hire ke takht ko thokar pe liye baithi thi us ke pahlu mein wafadar ghulam istada the jin ke mohabbat se labrez dil un ki hatheliyon pe dhadakte the main ne apni taza nazm sandal ki chhaal par likh kar use hadiya ki meri nazm ke aakhiri misre tak aate aate us ka dil aankhon se bah nikla us ne hath badha kar raqs karte ped ka sab se khush-gulu parinda tod kar meri hatheli par rakha to us ke pahlu mein thathen marta jawaharaat ka dariya mere kushada daman mein bahne laga main ne us ke dariya ko apne chullu mein bhara aur farsh par thuk diya tab us par ye raaz khula ki main hi wo shair hun jis ne nazm aur taqdir ijad ki