jahan kahin se tum ne apne fasle utha liye wahin se meri ibtida hui saikadon nahif aur nazar hath aasman ki taraf uthe aur ek sath uth ke mere chaaron samt kai safon mein tan gae main tumhaare waste tumhaare nam se ek aise bab ke dahane par khada hun jo hazaron samton ko rujua hai main ki tum pe baz hun khudai ki sab khudai tum pe baz hai tum meri taraf jhuki raho jhuki raho ki is ke baad mere aur tumhaare jism ki ba-murad shirkaton se ek tandurust shahr ki umid hai