buddhu si ek bachchi

sima ne mujh se puchha
ai mere pyare chacha

ye roz aap mujh ko
dete the kaisa ghachcha

kahte the kar raha hun
wada main tum se sachcha

jangal ke ped par se
bandar ka ek bachcha

launga tod kar main
lekin abhi hai kachcha

samjhe the aap hai ye
buddhu si ek bachchi

chhe sal ki hai hogi
kuchh aql ki bhi kachchi

lekin samajh gai hun
main sari ghachcha ghachchi

bilkul bura na manen
main baat kah dun sachchi

bas ho gai hai chacha
ab aap ki bhi kachchi

mujh ko bata chuki hain
kal raat meri chachchi

ugte nahin shajar par
yun bandaron ke bachche

hote nahin wo hargiz
hargiz bhi pakke kachche

main aap ke to wade
manun kabhi na sachche

mat dijiye aap mujh ko
ab aise waise ghachche

chachchi ne khud hain dekhe
bandar ke ande bachche

bandariya ande de de
jab ghonslon ke andar

bante hain pahle chuze
phir pyare pyare bandar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close