ye raat bhar kaun meri aankhon mein jagta hai ye kis ki aahat ki justuju mein tamam raste malul-o-be-khwab ho gae hain abad ke darban ne umidon ke dar pe tala laga diya hai ye meri raaten ye meri aankhen ye mere aansu kai kai mah ke musalsal jage hue hain main thak chuka hun so ai mere ghar ke sare darwazo aur daricho suno agar wo kabhi bhi aae to dhyan rakhna mujhe bahut nind aa rahi hai main ab ke soya to phir kabhi bhi nahin jagunga