tarikh ke aaghaz se kuchh pahle insan ne tanhai se tang aa kar chaar-diwari ka khauf utar phenka us ne patton ka libas ijad kiya aur hifazat ke liye neza bhi jab safar ki soch paida hui naqsha ijad kar liya gaya jis mein manzil ka koi nishan nahin tha jab dur-daraaz ke safar par chalne ka khwab nazil hua jute ki daryaft pahle hui ya phir sawari ki ibtidai tarikh khamosh hai pani ke liye mashkiza ijad hua aur safari-saman ke liye gathri jis ke khadd-o-khal aaj se milte-julte hain gathri mein sab se pahle naqsha rakha gaya aur budhon ki chand nasihaten bhi aur tanhai ke phailte khauf ne sat barr-e-azam daryaft kar liye