ye main ki mujh se chhin gaya hai sar-basar wo kaun hai ki jis ki dastaras mein aa ke main mera nahin raha mujhe to main tamam kaenat se aziz tha meri ana ki saltanat wasia thi ariz thi aur us ka narcissus tha main wo saltanat jahan pe sirf main tha mera aks tha aur is ke ma-siwa nafi ka raqs tha main apni zat par farefta raha main apne aap hi ka shefta raha na jaane kitne mehr-o-mah ki tabishen meri tajalliyon ki zad pe aa ke khak ho gain meri nazar ko koi bhi mere siwa jacha nahin magar wo ek sham ajab tilism-rang-sham thi fusun-taraaz sahira sarapa rashk-e-jam thi wo sahira ki lashkar-e-jamal-e-ba-kamal us ke sath tha wo sahira ki qatl-e-am ke tamam aslahon se lais thi bala ki jang chhid gai meri ana thi ek taraf aur us ka husn ek taraf wo yak-ba-yak shadid yurishen huin mere sabhi hawas us ke yarghamal ho gae tamam khud-pasandiyon ka takht-o-taj lut gaya meri ana ki saltanat tamam ujad ke rah gai