na jaane sargoshiyon mein kitni kahaniyan an-kahi hain ab tak barahna diwar par tange pur-kashish calendar mein daere ka nishan umr-e-gurez-pa ko dawam ke khwab de gaya hai jis mein sulagte sayyare gesuon ke ghane khunuk sae dhundte hain gulab-sanson se jaise shadabiyon ki takhliq ho rahi hai wo jhuk ke phulon mein apne bhige badan ki khushbu ko bantti hai chaman se jati bahaar ek tokari mein mahfuz ho gai hai