zarre zarre mein dawan ruh-o-ruwan pata hun main zindagi ko ek bahr-e-be-karan pata hun main ghuncha ghuncha nutq par aamada aata hai nazar patte patte ki zaban ko naghma-khwan pata hun main zinda hasti ki khabar deti hai raftar-e-nafas bu-e-gul ko zindagi ka tarjuman pata hun main barq ki jumbish ho ya baad-e-saba ka ho khiram zindagi ka har tamawwuj mein nishan pata hun main us se aage bhi hain ruhen udti phirti be-shumar taer-e-sidra ka jis ja aashiyan pata hun main ho chuki hai hukmaran jis nakhl par baad-e-khizan us ki rag rag mein bahaar-e-be-khizan pata hun main chaar-su rah-e-safar par daudti hai jab nazar zindagi ko karwan-dar-karwan pata hun main jaane walon ki tabahi ke nishanon mein nihan aane wali hastiyon ki bastiyan pata hun main al-gharaz samjhe ho jin ko maut ki barbaadiyan zindagi ke inqalab an mein nihan pata hun main