suraj se sae ki tawaqqoa baadal se sunahri dhup ki kanton se mahakte phul ki khushbu sahra se hariyali ki kaise bhule aap hain sahab kaisi tawaqqoa rakhte hain kichad mein jab aap chalenge panw to gande honge hi jhuton ki sohbat mein rah kar sach kaise kah paenge mare hue insan ke lahm se kyun raghbat rakhte hain aap ab bhi thoda waqt bahut hai qalb-e-mahiyat kar len ahl-e-hawas ke samne jhuk ke baunon ki sana mein be-khud hain apne ji ka sauda kar ke logon ki malamat sahte hain bahut hua bas band karen ab apni zamir-faroshi ko duniya wale sochte honge aalam kyun aise hain ab lekin un ko kaun batae aap ne zar aur jism ki khatir jahil ko tauqir hai bakhshi aalim ko ban-bas diya hai aur aalim tujh kizb-e-sifat ko mahw-e-hairat tak raha hai ilm jo shahr-e-ilm ke bahar ab bhi girya karta hai apni aur teri haalat par gham ke aansu rota hai kash ki ho taufiq zara si thoda pasheman ho len aap tauba ki manzil se pahle apni surat dekhen aap