chalo ek wada karte hain ki hum aur aap sab bhi zehn aur dil ki kudurat saf karte hain be-imani par diyanat kibr par ikhlas ko nafraton ke zahr par pyar ki mithas ko hum ghaalib karte hain chalo hum ye bhi karte hain ki ahl-e-haq ko un ka haq dilate hain jo mujrim hain unhen mujrim hi kahte hain fareb-o-maslahat ko aap bhi aur hum bhi chhoden qadam boson ke bhayanak ghol ko jo dimak-o-jarasim ki surat nizam-e-fikr-o-fan barbaad karta hai use hum dur rakhte hain use mazmum kahte hain suna hai jis zamin jis qaum se sachchai jati hai to us ke sath hi iman aur insaf jata hai to apne taur par in tinon ko hum thame rakhte hain chalo hum aisa karte hain zaif-o-tifl ko bahu ko betiyon ko man ko hum mushtarka kahte hain dharm aur zat ke qasrat-o-qillat ke sare phulon ko chun kar unhen khush-rang karte hain hasin mala pirote hain chalo hum aisa karte ye tohfa aane wali nasl ko hum pesh karte hain