moajiza tha ajab aahani chanchanahat se zanjir khud apne qadmon mein aa kar giri bhaari-bharkam dahane khule aur charkh chun ki fariyaad ke sath patri par dabbe sarakne lage subh ki dudhiya chhanw mein aankh malte hue sab ye hairat-zada dekhte the koi khinchne wala engine na tha aur tarai utarti gai un ki raftar badhti gai khar-o-khas ko kuchalti hui tez se tez-tar tez tar tez-tar ab ye patri jahan un ko le jae jaenge ab ye musafir jo is fazl-e-rabbi pe nazan the hairan hain mashkuk nazron se ek dusre se gurezan se wahmon ko dil mein chhupae hue tez raftar badhte chale jaenge ye kahan jaenge