chaar musafir

nikle safar ko paidal wo chaar ham-safar the
sab apne raste aur manzil se ba-khabar the

ek falsafi tha un mein dusra tha nai
phir tisra sipahi ganja tha jis ka bhai

jangal mein raat aai lazim tha un ko sona
le kar chale the apne wo odhna bichhauna

soe kuchh is tarah wo us mein hoshiyari
har ek ka tha pahra do ghante bari bari

pahle sipahi jaga phir aadhi raat aai
wo so gaya to pahra dene laga tha nai

lambe the aur ghane the jo baal us ke sar par
nai ne mund dale tez ustura pher kar

bedar falsafi ko kar ke ye bola nai
bari ab aap ki hai uth jao mere bhai

jab hath falsafi ne chandiya pe apni phera
aape se ho ke bahar nai ko us ne ghera

ye kya ghazab kiya hai nahaq use uthaya
bari thi falsafi ki ganje ko kyon jagaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close