sham ki lamha lamha utarti hui dhund mein sar jhukae hue ghar ke khamosh aangan mein baithe hue meri wamanda aaankhon ki jalti hui ret se ek bipharte samundar ki aawara lahren achanak ulajhne lagin sham ki rasta rasta utarti hui dhund mein is bipharte samundar ki aawara lahron ko chori chhupe dafn karna pada us khandar mein jahan murda sadiyon ke bhatke hue rah-rau chikhte phirte hain apni hi khoj mein khauf ka sanp rag rag mein khun ki tarah sarsaraata raha raat ke chand be-kar lamhat ki raaz-dan dekh pae na biphre samundar ki aawara lahron ka chehra kahin aur puchhe mohabbat se israr se ye baithe-bithae tumhein kya hua kuchh mujhe bhi kaho