chiz agarche hun main nannhi lekin hun main kaam ki kaisi aaqa ko bhi meri zarurat naukar ko bhi meri hajat koi jahan mein ghar nahin aisa jis mein kaam nahin hai mera haal sunati hun main apna kan laga kar sara sunna mitti mein se loha nikala lohe ka faulad banaya tar phir us faulad ka khincha ho gaya wo tab dubla patla kar diya us ko tukde tukde ho gae jab wo tukde chhote kal mein in tukdon ko dala ban gai jab main sab ko nikala ek taraf ab nok hai bachcho ek taraf hai naka dekho sui jahan mein ab kahlai kaam zamane bhar ke aai kaam har ek ke tum bhi aana mano 'jauhar' ka farmana