ladao har kisi se yun na tum be-sakhta aankhen kahin badnam na ho jaen shorat-yafata aankhen murawwat rahm aur sharm-o-haya un mein nahin hoti dikhane ke liye hoti hain jo khud-sakhta aankhen kabhi khud band ho kar rah-e-dil masdud karti hain kabhi deti chali jati hain dil tak rasta aankhen kahin fitnagari se hain sukun-o-chain ki dushman kahin amn-o-aman ki hain nishani fakhta aankhen kabhi dil bhi tadapta hai duhai de ke aankhon ki kabhi ro ro ke de jati hain dil ka wasta aankhen nahin tab-e-nazara aur jalwon ki tamanna hai kahin andhi na ho jaen khuda-na-khwasta aankhen chala kuchh bhi na mera zor jab apni hi biwi par dikhata rah gaya mein ho ke dil-bardashta aankhen nazar lagne ka dar tha is liye bhi 'khwah-makhwah' main ne hata len un ke rukh se ba-dil-e-na-khwasta aankhen hasinon se nigahen 'khwah-makhwah' tum kyun ladate ho kahin kamzor na ho jaen pension-yafta aankhen