aankhen meri kya dhundhti hain pani mein ya chattanon mein shabnam ke nanhe qatron mein barudi dahakte shoalon mein gulzaron mein ya banjar registanon mein mahfil mein tanhai mein dusron ki angnai mein nazmon ke tikha-pan mein ghazlon ki ranai mein mai-khwanon ke band kiwadon ke pichhe mandir mein chadhae phulon mein masjid ke khali musalla par marghat mein qabristanon mein bazaron mein viranon mein dasht se kanpte honton par wahshat se lapakte jazbon par bosida kachchi kholi mein unche unche aiwanon mein munsif ke phisalte qalamon par mulzim ki larazti sanson mein insaf ki andhi dewi mein ya jhul rahe mizanon mein bachchon ki tadapti lashon mein maon ki bhi mamta mein aankhen meri usi chehre ki mutalashi hain jis chehre mein wo rahti thin wo chehra jo ab khud ko bhi pahchanne se qasir hai 'nazar' aankhen us ko kya dhundengi