eid ka din hai zamane bhar pe chhai hai bahaar hai zamin se aasman tak ek faza-e-khush-gawar ye wo din hai jo sukun-e-dil qarar-e-jaan hai ye wo din hai jo bahaar-e-hasrat-o-arman hai hijr ki kulfat mita deta hai dil se yaum-e-eid aarzu ke gul khila deta hai dil se yaum-e-eid ishq ki mahfil sajaane ke liye hai yaum-e-eid aatish-e-furqat bujhane ke liye hai yaum-e-eid tazgi-e-dil bahaar-e-zindagani eid hai ai khusha roze ki roz-e-shadmani eid hai kaif-e-didar o surur-e-walihana eid hai hai payam-e-wasl milne ka bahana eid hai eid ka din ek payam-e-aish ki tamhid hai jis ko ho didar ai 'shahid' usi ki eid hai