aakhir kar mere dost tum ne aankhon ki tajdid ka faisla kar hi dala an-dekhe ki did ijad karne ke liye tum ne kaise daryaft kiya ki chizen ek asil nigah ke qabil nahin rahin ye sari kaenat ek sapat taswir hai jis se utni jagah bhi nahin bhari ja sakti jo tumhaare canwas mein khilqatan maujud hai tum ne behtar jaana ki aankhon par se kuchh parten utar do ta-ki wo dekh len kaise ijad kiya jata hai wo manzar jahan har shai nae sire se mashhur aur masnua aur maujud hai