agar hai jazba-e-tamir zinda to phir kis chiz ki hum mein kami hai jahan se phul tuta tha wahin se kali si ek numayan ho rahi hai jahan bijli giri thi ab wahi shakh nae patte pahan kar tan gai hai khizan se ruk saka kab mausam-e-gul yahi asl-e-usul-e-zindagi hai agar hai jazba-e-tamir zinda khandar se kal jahan bikhre pade the wahin se aaj aiwan uth rahe hain jahan kal zindagi mabhut si thi wahin par aaj naghme gunjte hain ye sannate se li hai samt-e-hijrat yahi asl-e-usul-e-zindagi hai agar hai jazba-e-tamir zinda to phir kis chiz ki hum mein kami hai rahe yakh-bastagi ka khauf jab tak shuaen barf par larzan rahengi na dhire jam nahin paenge jab tak charaghon ki lawen raqsan rahengi bashar ki apni hi taqdir se jang yahi asl-e-usul-e-zindagi hai agar hai jazba-e-tamir zinda to phir kis chiz ki hum mein kami hai