dekhe hain jo mizhgan pe larazte hue aansu billor ki surat mein damakte hue aansu dete hain pata gauhar-e-nayab ki surat furqat ki siyah raat mein bahte hue aansu hota hai guman lala ke shoalon pe hai shabnam girte hain jo aariz pe damakte hue aansu daman mein simat aae hain aflak se tare ehsas ki aankhon se nikalte hue aansu ai 'aish' rahen dil mein to sarmaya-e-jaan hain ashrar mein palkon pe larazte hue aansu