maqam-e-azmat-e-insan ko tu ne fash kiya jumud-basta ghulami ko pash-pash kiya hayat-e-subh-e-mohabbat ke nur mein gum hai ajib chiz tera dil-kusha tabassum hai ye jabr-o-qahr ke bande ye shor-o-shar ke ghulam na pa sakenge teri zindagi ki ramz-e-dawam diya hai sulh-o-musawat ka sabaq tu ne ata kiya hai junun ko naya ufuq tu ne fana-kade ko banaya hai jannat-e-gul-posh rawan-dawan hain jahan nil-o-gang dosh-ba-dosh ye moajiza hai tere zauq-e-taza-kari ka ki sar-nigun hai far-o-fal shahryari ka nahin hai tere siwa koi raazdan-e-watan tujhi se faez-e-manzil hai karwan-e-watan wafa ke rag mohabbat ki aag le ke gaya tu apne sath watan ka suhag le ke gaya sitam se ruh-e-sadaqat kabhi na haaregi nigah-e-ishq tujhe ta-abad pukaregi