ai mere aansu kabhi be-kar ho jata hai tu aur kabhi daman pe ban jata hai ek naqsh-e-wafa teri qimat kuchh nahin rahti hai nazron mein kabhi aur kabhi ho jata hai ganj-ha-e-be-baha parwarish pata hai tu qalb-e-hazin mein is tarah jis tarah chashm-e-sadaf mein gauhar-e-sarmaya-dar tere sine mein hain pinhan raaz-ha-e-ranj-o-gham tu hai pichhli kaif-parwar sohbaton ka yaadgar tu kabhi ban jata hai phulon mein qatra os ka aur kabhi tarik baadal mein sitare ki ziya jalwa-gar hota hai tu bijli ke pahlu mein kabhi aur kabhi tu khud hi ban jata hai shoala qahr ka dekh kar tujh ko kabhi hota hai sina gham se shaq aur kabhi aankhon mein ban jata hai tu wajh-e-nashat tarjuman-e-haal-e-dil hai gham ki khamoshi mein tu ek samundar hai agar hasil ho tujh ko imbisat tu hi mazlumon ki fariyaadon ka hai fariyaad-ras gham ke shoalon ko bujha deta hai dil mein aa ke tu khatm ho jati hai kulfat teri tughyani ke sath naghma-e-ishrat suna deta hai dil mein aa ke tu