jahan-e-reg ke khwab-e-giran se aaj to jag hazaron qafile aate rahe guzarte rahe koi jaga na saka tujh ko tujh se kaun kahe wo zist maut hai jis mein koi lagan ho na lag tadap uthe tere honton pe kash ab koi rag jo tere dida-e-sangin se dard ban ke bahe ye teri tira-shabi bijliyon ke naz sahe yunhi sulagti rahe tere dil mein zist ki aag magar nahin, tu agar mera raaz-dan hota tere labon pe dahak uthti koi pyar ki baat to aaj dahr ke sine pe tu kahan hota tere sukun ko kabhi chhu saka na waqt ka hat khud apni aag hi mein jal-bujhi hai meri hayat wagarna teri tarah main bhi jawedan hota