jalwa-e-husn-e-azal aae tasawwur mein agar gosha-e-dil mein machalte hue arman honge ek hasin gor-e-ghariban pe hua yun goya ye bhi kambakht kabhi hazrat-e-insan honge panw rakhte bhi nazakat se agar honge kahin be-badal husn-e-jahan-soz pe nazan honge phul bistar pe bichhane ko agar hasil the sair ke waste bagh aur gulistan honge itr malne ke liye kapde badalne ke liye mahl-o-aiwan mein bahut dast-e-hasinan honge nit-nai roz mayassar thi unhen bazm-e-surud dil bahalne ke liye sainkadon saman honge ek lamha bhi guzarta tha jo tanhai mein muztarib aur pareshan ye zishan honge gor-o-marqad pe yunhi sair ko aate honge aur sinon mein liye hasrat-o-arman honge kya khabar thi ki ujad jaega gulzar-e-hayat ek jhonke se hawa ke na ye saman honge kya yunhi maut mitaegi jahan se hum ko kya yunhi apne liye dasht-o-bayaban honge zindagi mein na karenge jo bashar kar-e-sawab waqt-e-rukhsat wo pareshan-o-pasheman honge 'aftab' un ki samajhta hun hayat-e-abadi jo bashar dharm pe sau-jaan se qurban honge